How to Make Temporary AC at Home Hindi

Temporary Air Conditioning System (AC)


Bhale hi aap thandi, barsaat sehen kar lein, per me definetly keh sakta hu ki aap garmi bardaash nhi ker sakte.Ye season esa hota he ki apka is mosam me kuch karna ka man bhi nhi hota. Apko maximum time alas hi aata he.To aaj hum is topic per baat karenge ki ghar per hi apna temporary air condition system (Ac) kaise banay.


How to Make Temporary AC at Home Hindi


Ager hum market me Ac kharidne jaate he to vo bohot costly hote he jisse ki hum unhe kharidne me able nhi hote. Aaj kal to hum koi bhi institutes, buildings, schools, offices ya Atm me bhi jate he to har jagah hume air conditioning system laga dikhai deta he. Yadi hum offices me work karte he to hume time ka bhi pata nhi chalta ki actual me kitna time hua he.


Related Articles:






Asa isliye hota he kyuki hum us samay garmi ko feel nhi ker paate. Aur chaaro aur ac ki coolness hoti he. So me apko yaha per asi trick batane wala hu ki jisse aap apne ghar ko temporary cool bana sakte he. Sabse bada fayda to yha he ki Isme naa hi aapka koi bhi kharch lagega aur naa hi isme koi electricity bhi use nhi hogi.

Kya Aap Jante He Market Me Milne Wale Air Condition (Ac) Kitne Type Ke Hote He?


Vese to market me milne waale ac kai type ke hote he per jinke baare me hum janege wo jyada use kiye jate he. To chaliye hum thoda bohot jaan lete he un ac ke baare me.

Split Ac :- Jis type ke ac ko hum maximum use karte he vo split ac hi hote he. Jese ki Atm me, classes me, offices me, rooms me use kiye jaate he vo split ac kehlate he.

Window Ac :- Ye bahut hi cheapest type ke ac hote he is type ke air condition ko hum window ke neeche use karte he. Aur inko hum asaani se window ke neeche install kar sakte he.

Cassette Ac :- Is type ke Ac ko hum big areas ke liye use karte he. Aur inka shape square type ka hota he. Per ye Ac apke roof slab me use kiya jata. Roof slab vo jagah hoti he jaha fan etc cheeze use hoti he.

Tower Ac :- Ye type ka Ac bhi large room ko cool (thanda) karne me help karta he. Iska sabse bada benefit to ye he ki ise hum asaani se ghar me rakh sakte he vo bhi chhoti si place me. Tower ac movable bhi hote he.

Ghar Per Hi Apna Temporary Air Condition System (Ac) Kese Banaye ?


Yaha me apko kuch steps bata raha hu ki apne ghar ko cool kese bana sakte he.

1. Bulb:- Vese to hum sabhi jaante he ki bulb me nitrogen aur argon gas bhari (fill) hoti he. Jiski madad se bulb jalta he. To hota ye he ki jab bhi hum bulb on karte he to uske through garmi (heat) generate hoti he aur vo heat hamare room me chaaro aur spread ho jaati he.
Yadi aap summer season me minimum bulb ko use karte he to usse apka electrical bill kam ayega aur apka room bhi cool bana rahega. Agar hum iske loss ki baat kare to sabse bada loss to ye he ki isse humari eyes ko problems create hoti he. Fir uske baad eyes weakness ki desease (bimari) shuru ho jati he kyuki hume kuch bhi kaam karne ke liye thoda dark light ki jarurat hoti he. Jisse hamarai eyes long lasting work karti rahe.

2. Window:- Hume to pata he ki garmi ke season me garam hawaye to chalti hi he. Jese ki aap jante he ki yadi hum window open rakhte he to unme se hot air aati he uske karan apka room hot ho jata he.
Jiske karan hot air ghar me enter ho jati he. To yadi aap window band rakhe to aap apne room ko un hotty air se bacha sakte he. Bhale hi apko sun light kitni bhi kyu na pasand ho apko window ko close hi rakhna chahiye. Jisse ki garam hawayein ghar me na aa sake.

3. Exhaust:- Yadi aap soch rahe he ki ye exhaust word kya he? to iske bare me apko batata hu.Ye ek type ka fan hota he jo ki waste air ko exit karne ka kaam karta he. Iska kaam ye hota he ki ye waste air ko kheench leta he fir baad me fan ke through exit ker deta he.
To ye apke ghar ko cooling karne ka sabse acha aur easy way he. Hum iska use bathrooms, big halls, kitchens jesi places me karte he. Yaad rakhe ki hamare room ki jo bhi light air hoti he vo upper ki aur chali jaati he. Light air mean halki ya garam hawaye exhaust ke through bahar chali jaati he.

4. Towel:- Yadi aap soch rahe he ki towel se bhala kese coolness ho sakti he to me apko batata hu, jo ye trick aap padne ja rahe he vo actually Greek ke logo ke dwara istemaal ki jaati he. Isme vo log yha karte he ki sabse pehle ek saaf towel lete he, fir usko paani bhari balti me dubaate he, dubane ke baad towel ko ache se nichhodte he then fir vo log bheege huye towel ko audhkar so jate he. Asa karne se vo log bahut relax feel karte he aur unhe achi neend bhi aati he.

Tip:-Yakeen maaniye ye method bahut hi best he apko ek baar ise jarur try karna hi chahiye.

5. Ice:­- Mujhe pata he ki apke deemag me yahi baat aa rhi hogi ki hum barf se room kaise cooling ker sakte he. To dosto chalo me apko iske baare me batata hu apko sirf karna ye he ki sabse pehle ek badi si plate lena he and then usme apko paani bharna he aur ab apko is paani se bhari hui plate ko freezer me rakhna he.

Ab jo apki plate he vo freeze ho chuki he. Fir apko karna ye he ki ek table fan lena he aur uske samne bhari hui Ice plate (barf se bhari plate) ko rakhna he then aap fan on kar dein. Jab apka fan chalu hoga tab usme se nikli air ice plate se takrati hui niklegi, Aur easily apka jo bhi room hoga to vo cool ho jayega.

To friends aapne seekha ki ghar per hi apna temporary ac kaise banate he, mujhe aap logo se umeed he ki apko ye article jarur pasand aaya hoga yadi acha laga ho to please social media per jarur share kare.

Ab mujhe dosto apke valuable comments ka intezaar he. Comments ke through apne suggestion jarur den. Aur subscribe jaroor kare.

Thanks.........

Post a Comment

11 Comments

  1. ac banane ke bare me bahut hi badhiya jankari bhai intresting ac banane ke bare me tumne bahut hi acchi jankari likhi hai mujhe pata hai ki bahut se iss jankri se unki help mili hogi aur iss article ko padhne ke bad kuch to learn kiye honge. but maine bhi ek Business startup se website start kiya hai sayad aapko padke khusi hogi.

    ReplyDelete
    Replies
    1. thanks for read.
      Aur haa apki website bhi buhut badhiya hai.mujhe achhhi lagi.

      Delete
  2. awesome en tips ko follow karke ac ka kharcha bachaya ja sakta hey :D

    ReplyDelete
  3. Bahut badiya post hai ...keep it up .....header pe Jo Sora template ka ad hai usse remove karo ..

    www.sabkimadad.com

    ReplyDelete
  4. सर, आपकी वेबसाइट बहुत ही अच्छी है

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks. Keep visiting for more Tricks. 😊

      Delete
  5. HI
    AAPKA BLOG BAHUT ACHA HAI,
    MERI BAHUT HELP HUI HAI AAPKE BLOG SE
    THANKU SO MUCH

    ReplyDelete