Old FaceApp Kya Hai Aur Kaise Use Karte Hai ? FaceApp in Hindi




Old FaceApp Kya Hai ?


Abhi haal-hi me Social Media par #FaceAppChallange tag Buhut hi teji se Viral ho raha. Log apni Photo ko Old Filter kar ke Upload kar rahe hai. Ye sab isi Badolat ho raha hai. FaceApp App Ek Photo Editing App hi Hai. But Ek Advance Level Ka Editing App. Ji Haan Dosto Ye App AI (Artificial Intelligence) Technique Se Bana Hai, Means ki Puri Tarah AI inbuild hai. Isliye Iski Editing Itni kamaal ki Hoti hai Ki Image ka Pta lagana Mushkil ho Jaata hai ki Picture ko Edit kiya gya hai. Ye itna Trending me isliye hai kyuki Ye Jawaan Aadmi ko Budhe or Bachhe ki Umer me Badal deita hai.

Ek aur Intersting Fact bata du ki ye App 2 saal se iOS aur Play Store Par hai. Ye App 2017 me Launch ki gyi thi. Abh Ka iska Version Kaafi Advance hai. Isme Buhut se Features Add kare gye hai, jisko use karne ke liye aapko Paise Deine Padte hai. Matlab ye Totaly Free nahi hai.

Feature of FaceApp


1. Swap Gander - isme aap Gander change kar sakte hai.
2. AI inbuild - AI inbuild hone ke karan ye apne iski Editing dhaaso hai.
3. Change Age - Aap Age change kar sakte hai. Matlab budhe se Jawaan ya Chhota Bachha ya Bachhe se Jawaan ya budha. (Mast Hai Naa!) 😎 .
4. Add Smile - Apne Face pe Smile add kar sakte hai.
5. Change Hair style, Goggles aur bhi buhut saare Features hai isme.

Also Read:

1. Sarahah App ke baare me Complete Guide hindi mein

2. Android Phone ko CCTV Cemra Kaise Banaye (Make Security Cemra)

3. Office ke Computer mein ye Search mat karna. Success Business Tips

FaceApp kaise Use karte Hai


FaceApp App ko Kaise aur Kaha se Download karna hai ye bhi hamne is Article me Bataya hai.
Abh maan ke chalte hai ki Apne App Donwload kar liya hai.
1. App ko open kare.
2. App ko Open karne ke baad aap Photo ko select karna hai, isme aapko Gallery aur Camera ka option milta hai jaha se aap Photo Choose kar skate hai.
3. Photo select karne ke baad ye kush Second ki loading leita hai, just Scaning ke liye.
4. Abh buhut se filter dekhne ko milenge. Aap koi bhi use krke fun kar sakte hai. Kush filter Paid hai, jisko paise de ke Unlock kar sakte hai.

FaceApp Download Kaise kare


jaisa ki maine pehley hi bataya tha ki Download karne ka process bhi hum apko batayengey.
1. PlayStore par Apko "FaceApp" search karna hai niche aap Image me iska Screenshot dekh sakte hai.



2. Install Button par click karne par Downloading Start ho jayegi.

Final Words!


Aapne is article me FaceApp ke baare me padha, FaceApp kya hai, kaise Download karna hai aur Kaise Use karna hai. Ager aapka koi Sawaal hai ya Kush Point Samajh me na aaye ho to aaap Bejhijhak Comment kar Sakte hai.
Aapko ye article kaisa laga hamme Comment ke Medium se jaroor bataye. Aur haa, please isko Share jaroor kare, taaki hum aise hi majedaar Tips aur Tricks aapke liye laate rahe.
Thank You!

Post a Comment

2 Comments