Flow Chart and Symbols using in Programming Languages in Hindi

Flow Chart kya hai ?

Flow Chart problems solve karne ka hi ek Graphical method hai. Jo Program ke Logical flow ko represent karta hai.
Jaise ko House ke design ke liye map banaya jaata hai, theek usi tarah program ka bhi structure tyaar karna jaroori hai Taki pat chal sake ki program jo ham bana rahe hai wo kis tarah kaam karega. Ye sabh hum sirf ek simple se design se jaan jaate hai.
Ager hum kisi project par kaam kar rahe hai ya aapko collage me koi programming se related koi task milta hai to flow chart create karke ham easily use implement kar saktr hai. Examples to buhut hai lekin filhaal abhi ham Topic par hi focus karte hai 😁

Isme Different Shapes or Symbols ko Use kiya jata hai. In Symbols ko aapas me connected Karne ke liye Arrow Sign ka Use kiya Jata hai, Issay Flow Chart ko Read karne me Assani hoti hai.

Some Rules :-

  1. Har Flow Ek Start or Ek Stop Symbol
    hona chahiye. Taki pata chal sake ki kaha se start karna hai aur kaha khatam.
  2. Flow chart draw karne se pehley ye samajh le ki Flow Chart Page ke Top se Start and Page ke Bottom me Stop Hona chahiye.
  3. Ek Page par Sirf ek hi Flow Chart hona chahiye means aisa na ho Half Flow Chart First Page par aur Half Flow Chart Second Page par Ho.
  4. Ek Flow Chart me 15 se Jayada Symbols involved nahi hone chahiye (skip Start and Stop Symbols).
    Ek page par itne symbols use karlo ye bhi buhut hai.
  5. Koshish Karey ki Flow Chart Simple se Simple Draw ho taki Easily samajh me aa jaye.

Related Article


Flow Chart Symbols

1. Start and Stop Symbol (oval shape) :-



Ye symbol ko flow chart ne starting me aur End me use kiya jata hai. Simple shabdo me kahu to ye program ka start aur end part hota hai.

2. Input/Output Box (Perallelogiam Shape) :-

 \
Input/Output means hum program me kya input dege aur kya output show hogi.


3. Process box (Rectangular Shape) :-


Isko ek tarah ka Logical box bhi keh sakte hai kyuki yeh program ka logical or proessing part hai. Eg. C=A+B;


4. Decision or Condition Box (Diamond shape) :-


Name se hi aap jaan ge honge ki ye condition statements ko execute karta hai. Means condition ke True ya False hone ke baare me batata hai. Ager condition True hai to ye left side turn karega ager False hai to right side ko (Flow or Arrow lines ki help se).

5. Flow Lines or Data flow (Arrow Shape) :-


Ye Program ke flow ko represent karti hai ki program kaha se, kis tarah ,aur kaha tak work kar raha hai. Dusre shabdo me ager kaha jaye to ye symbols ko combine karke dikhati hai aur Programmer easily Isko samajh kar program ko design kar sakta hai.

  Flow chart me mainly 5 symbol hi use kiye jaate hai.

6. Loop or Iterative Box (Hexagon Shaoe) :-


Iska use tab hota hai jab ham program me koi Looping statement add karte hai. Ye tab tak repeat hogi jab tak Condition false na ho.


Example 1 :- Draw a Flow Chart to Add Two Numbers.




Example 2 :- Draw a Flow Chart to Calculate Even or Odd Number.




Na koi phone na koi bahana, Article kaisa laga ye comment karke jarool batana 😂
Thanks for Read this. Aise hi new tricks tips email me paane ke liye subscribe kare. Comment karke is article ke baare me bhi jarroor bataye.

Post a Comment

5 Comments

  1. buhut achhi tarah smjhaya hai apne. Jo programing me new hai unke liye ye kafi helpful hoga. Great job.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks Ihtasham, keep visit and share with friends

      Delete
  2. Standard flowchart symbols are used to draw flowcharts. There are many types of flowcharts eg: decision flows, process flows, swim-lanes. These can be drawn with standard symbols. The infographic type flowcharts can be drawn as you want as they do not follow a pattern strictly.

    ReplyDelete
  3. Very informative blog!

    Please take some time to visit my blog @
    loop in C notes

    Thanks!

    ReplyDelete